Main Q udaas hoon
Aye Haasil-e-Khaloos bata kya Jawaab doon
Duniya yeh puchhti hai main Q udaas hoon
Hamarey Bus me Hota to
HAMARE BUS ME HOTA TO..
Tumhe Banho Me Bhar lete
Tumhe Sab se Chupa lete
Tumhe Ankho Me Rakh Lete
Kabhi Na Roothne Dete
Kabhi Na Tootne dete
Tumhe Hum Qaid kar lete
Bus apne dil ki dunya me
Kisi bhi haal me hum phir
Tumhe azaad na karte
Sabhi dunya bhula dete
Tumhe apna bana lete
Hamare bus me hota tou
Magar hai bebasi aisi
Hamara dil machalta hai
Tumhe hi yad karta hai
Tumhara qurb chahta hai
Magar hum kya karen jana
Hamara bus nhi chalta
Aansoo nikal paray to meri Laaj reh gai
Aansoo nikal paray to meri Laaj reh gai
Izhaar-e-gham ka warna saleeka na tha mujhe
Rog Dushman ko b Ya Rabb na lagana dil ka
Un ke Andaz-e-Karam un pe wo aana dil ka
Haye wo waqat wo baten wo Zamana dil ka
Na suna uss ne tawajoh se Fasana dil ka
Umer Guzri par Daed na jana dil ka
Dil Lagi dil ki Lagi ban ke Mita deti ha
Rog Dushman ko b Ya Rabb na lagana dil ka
Wo b apnay na huye dil b geya hathon se
Aisay aane se to behtar ha na aana dil ka
Un ki Mehfil mein “PREET” un ke tabusam ki Qasam
Hum dekhtay reh gae hath se jana dil ka
Ham Log Amanat Main Khianat Nahi Karte
Badnaam Zamane main Mohabbat Nahi Karte
Dil Wale To Dushman Se Bhi Nafrat Nahi Karte
Ek Baar Jisy Chaha Sada Uss Ke Rahe Phir
Ham Log Amanat Main Khianat Nahi Karte
Tanhai Main Karlete Hain Yaad Aansoo Baha Kar
Zaahir Kabhi Hum Apni Ebadat Nahi Karte
Waqt Aane Par Maaloom Yeh Ho Jay Ga Tum Ko
Hum Sirf Dekhawe Ki Mohabbat Nahi Karte
Lekhte Hain FAQAT Ek Tumhare Liye Ghazlain
Har Shakhs Pe hum Aesi Enayat Nahi Karte
Jo Chala Gya Mujhe Chhor K
Jo Chala Gya Mujhe Chhor K
Main Kabhi Na Us Ko Bhula Saka
Wohi Doorian Wohi Fasle Main
Kabhi Na In Ko Mita Saka
Kya Use B Mujh Se Pyar Tha
Ya Tabussum Us Ka Shuar Tha
Wo Koi Ajib Sawal Tha Jo
Meri Samajh Mein Na Aa Saka
Meri Zindagi Ka Sakoon Tha
Wo Mere Dil Ka Ik Janon Tha
Meri Bandagi Mera Pyar Tha
Yehi Bat Na Main Bta Saka
Yehi Sochta Tha Main Raat Bhar
Wo Kabhi Mile Ga jo Raah Par
To Karon Ga Us Se Shikaitain
Wo Mila To Lab Na Hila Saka
Aanaa Passand Kabhi Muhabbat nahin Kartay
Aanaa Passand Kabhi Muhabbat nahin Kartay
Muhabbat Un ka Shewa Hai Jo Khud ko “Maar” Detay hain!!
Category: Love Poetry Two Lines PoetryWo Chehra wo Zulfain wo Gaal uski Aankhain
Wo husn-e-Mujassam kamal uski aankhain
Sarapa-e-Mohabat jamal uski aankhain
Main jab b poochon sawal us se koi
Mujhe roz deti hain tall uski aankhain
Jo bachey to do jahan de k le loon
Wo chehra wo zulfain wo gaal uski aankhain
Ager koi poochey k dunia main kia hai
Zamana de ga misal uski aankhain
Ager ye tum ne kaha hy to koi bat nahi
Yehi wafa ka sila hy to koi bat nhi
Ye dard tum ne dia hy to koi bat nhi
Itna boht hy k tum dekhte ho sahil se
safina dob raha hy to koi bat nhi
Kisi ki majal jo mujh ko kahe bewafa
Ager ye tum ne kaha hy to koi bat nahi
Ye mery bs me kahan k tujh ko bhul skon
Tu mujh ko bhul chuka hy tu koi bat nahi
Khusk Patton ki Tarah Dost Bikhar Jayein Gay
Kya khabar Thi K Chalay Gi Kabhi Aisi B Hawa
khusk Patton ki Tarah Dost Bikhar Jayein Gay
Category: Friendship Poetry Two Lines Poetry